Monday, 28 April 2014

Raat ka Vaada

Raat roz shakl badal, badal kar mujhse milne aati hai;
Sochti hai, main nahi samajh paungi ki ye wohi raat hai,
Jo mujhe roz sulakar chali jaati hai, chupke se aati hai,
Ek kahani mujhse sunti hai, kuch kisse mujhe sunati hai.
Usska jaanaa mujhey ye tassalli deta hai ke woh kal phir aayegi;
Mujhe phir kahani kehte hue sulayegi aur dabe paanv laut jayegi.


No comments:

Post a Comment

Thanks for reading the post and commenting. Please come back for more.